tumhaare hi ishaaron par chalenge
tumhāre hī ishāroñ par chaleñge
kaho to ham sitāroñ par chaleñge
ḳhudā ke naam par maiñ sach kahūñ to
jo aare duniyā-dāroñ par chaleñge
kabhī sochā nahīñ thā ham ne aisā
vabā ke din bahāroñ par chaleñge
agar tum saath chal paao to aao
magar dariyā ke dhāroñ par chaleñge
ruko to surḳh vaadī meñ rukeñ ham
chalo to lāla-zāroñ par chaleñge
magar ham dost hote the na pahle
to kyā ye tiir sāroñ par chaleñge
yahāñ alfāz kī vaq.at nahīñ hai
zamāne ab ishāroñ par chaleñge
bhañvar meñ ham the jin ke saath 'ārib'
vo kahte the kināroñ par chaleñge
tumhaare hi ishaaron par chalenge
kaho to hum sitaron par chalenge
KHuda ke nam par main sach kahun to
jo aare duniya-daron par chalenge
kabhi socha nahin tha hum ne aisa
waba ke din bahaaron par chalenge
agar tum sath chal pao to aao
magar dariya ke dhaaron par chalenge
ruko to surKH wadi mein ruken hum
chalo to lala-zaron par chalenge
magar hum dost hote the na pahle
to kya ye tir saron par chalenge
yahan alfaz ki waqat nahin hai
zamane ab ishaaron par chalenge
bhanwar mein hum the jin ke sath 'arib'
wo kahte the kinaron par chalenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.