tumhaare hijr ka anjam KHubsurat hai
tumhāre hijr kā anjām ḳhūbsūrat hai
bahut udaas magar shaam ḳhūbsūrat hai
phir is ke ba.ad ye rasta kidhar ko jaatā hai
ye zindagī to koī gaam ḳhūbsūrat hai
tū jis tarah se hasīñ hai zamāne bhar se alag
usī tarah se tirā naam ḳhūbsūrat hai
nahīñ zarūrī ki har baat kī vazāhat ho
kahīñ kahīñ pe ye ib.hām ḳhūbsūrat hai
maiñ is liye nahīñ detā safā.ī apnī 'vafā'
mire harīf kā ilzām ḳhūbsūrat hai
tumhaare hijr ka anjam KHubsurat hai
bahut udas magar sham KHubsurat hai
phir is ke baad ye rasta kidhar ko jata hai
ye zindagi to koi gam KHubsurat hai
tu jis tarah se hasin hai zamane bhar se alag
usi tarah se tera nam KHubsurat hai
nahin zaruri ki har baat ki wazahat ho
kahin kahin pe ye ibham KHubsurat hai
main is liye nahin deta safai apni 'wafa'
mere harif ka ilzam KHubsurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.