tumhaare hijr ko kafi nahin samajhta main
tumhāre hijr ko kaafī nahīñ samajhtā maiñ
kisī malāl ko hatmī nahīñ samajhtā maiñ
ye aur baat ki aarī hai dil mohabbat se
ye dukh sivā hai ki aarī nahīñ samajhtā maiñ
chalā hai raat ke ham-rāh chhoḌ kar mujh ko
charāġh us ko to yaarī nahīñ samajhtā maiñ
maiñ inhimāk se ik intizār jī rahā huuñ
magar ye kaam zarūrī nahīñ samajhtā maiñ
mirī vafā hai mire muñh pe haath rakkhe hue
tū sochtā hai ki kuchh bhī nahīñ samajhtā maiñ
tumhaare hijr ko kafi nahin samajhta main
kisi malal ko hatmi nahin samajhta main
ye aur baat ki aari hai dil mohabbat se
ye dukh siwa hai ki aari nahin samajhta main
chala hai raat ke ham-rah chhoD kar mujh ko
charagh us ko to yari nahin samajhta main
main inhimak se ek intizar ji raha hun
magar ye kaam zaruri nahin samajhta main
meri wafa hai mere munh pe hath rakkhe hue
tu sochta hai ki kuchh bhi nahin samajhta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.