tumhaare ishq pe dil ko jo man tha na raha
tumhāre ishq pe dil ko jo maan thā na rahā
sitāra ek sar-e-āsmān thā na rahā
vo aur the ki jo nā-ḳhush the do jahāñ le kar
hamāre paas to bas ik jahān thā na rahā
tū apnī fat.h kā ailān kar maiñ haar ga.ī
vo hausla ki mujhe jis pe maan thā na rahā
vahī kahānī hai kirdār bhī vahī haiñ magar
jo ek naam sar-e-dāstān thā na rahā
sadā.eñ doge palaT kar kabhī to dekhoge
hamāre dil meñ ye mub.ham gumān thā na rahā
tumhaare ishq pe dil ko jo man tha na raha
sitara ek sar-e-asman tha na raha
wo aur the ki jo na-KHush the do jahan le kar
hamare pas to bas ek jahan tha na raha
tu apni fath ka ailan kar main haar gai
wo hausla ki mujhe jis pe man tha na raha
wahi kahani hai kirdar bhi wahi hain magar
jo ek nam sar-e-dastan tha na raha
sadaen doge palaT kar kabhi to dekhoge
hamare dil mein ye mubham guman tha na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.