Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena

Nasir Amrohvi

tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena

Nasir Amrohvi

MORE BYNasir Amrohvi

    tumhāre jaane ġham manā.ūñgā dekh lenā

    maiñ hijr-e-sahrā meñ ḳhaak uḌā.ūñgā dekh lenā

    mirā ye da.avā hai muddatoñ tak maiñ ban ke aañsū

    tumhārī āñkhoñ meñ jhilmilā.ūñgā dekh lenā

    vo saarī ġhazleñ jo bas tumhāre liye likhī thiiñ

    vo ab maiñ har shaḳhs ko sunā.ūñgā dekh lenā

    ye tum jo mujh se zarā bātoñ pe rūThte ho

    maiñ saarī duniyā se ruuTh jā.ūñgā dekh lenā

    tumhārī sohbat meñ itnā ḳhush huuñ ki hañs rahā huuñ

    tumhārī furqat meñ ḳhuuñ bahā.ūñgā dekh lenā

    vo ik samundar udāsiyoñ jo ruuh meñ hai

    maiñ us samundar meñ Duub jā.ūñgā dekh lenā

    tumhārī chaukhaT pe jaan de kar amar rahūñgā

    tumhārī nabzoñ meñ thartharā.ūñgā dekh lenā

    vo ḳhat tumhāre jo jaan se bhī azīz-tar haiñ

    maiñ ek ik kar ke sab jalā.ūñgā dekh lenā

    ik us ġham mirā muqaddar koī hai 'nāsir'

    abhī to maiñ kitne ġham uThā.ūñgā dekh lenā

    tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena

    main hijr-e-sahra mein KHak uDaunga dekh lena

    mera ye dawa hai muddaton tak main ban ke aansu

    tumhaari aankhon mein jhilmilaunga dekh lena

    wo sari ghazlen jo bas tumhaare liye likhi thin

    wo ab main har shaKHs ko sunaunga dekh lena

    ye tum jo mujh se zara si baaton pe ruThte ho

    main sari duniya se ruTh jaunga dekh lena

    tumhaari sohbat mein itna KHush hun ki hans raha hun

    tumhaari furqat mein KHun bahaunga dekh lena

    wo ek samundar udasiyon ka jo ruh mein hai

    main us samundar mein Dub jaunga dekh lena

    tumhaari chaukhaT pe jaan de kar amar rahunga

    tumhaari nabzon mein thartharaunga dekh lena

    wo KHat tumhaare jo jaan se bhi aziz-tar hain

    main ek ek kar ke sab jalaunga dekh lena

    ek us ka gham hi mera muqaddar koi hai 'nasir'

    abhi to main kitne gham uThaunga dekh lena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now