tumhaare lams ko KHud main utar sakta hun
tumhāre lams ko ḳhud maiñ utaar saktā huuñ
maiñ apne aap ko yuuñ bhī sañvār saktā huuñ
vo saañs saañs meñ ghulne lagā hai yuuñ mere
maiñ por por se us ko pukār saktā huuñ
mire ḳhayāl kī tāqat se tum nahīñ vāqif
zamīn par maiñ falak bhī utaar saktā huuñ
mire mizāj kī shiddat se tum to vāqif ho
tumheñ maiñ apnā banā kar bhī haar saktā huuñ
agar jo izn-e-mohabbat mujhe mile 'sā.im'
maiñ rome rome tirā bhī nikhār saktā huuñ
tumhaare lams ko KHud main utar sakta hun
main apne aap ko yun bhi sanwar sakta hun
wo sans sans mein ghulne laga hai yun mere
main por por se us ko pukar sakta hun
mere KHayal ki taqat se tum nahin waqif
zamin par main falak bhi utar sakta hun
mere mizaj ki shiddat se tum to waqif ho
tumhein main apna bana kar bhi haar sakta hun
agar jo izn-e-mohabbat mujhe mile 'saim'
main rome rome tera bhi nikhaar sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.