tumhaare pas aate hain to sansen bhig jati hain
tumhāre paas aate haiñ to sāñseñ bhiig jaatī haiñ
mohabbat itnī miltī hai ki āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tabassum itr jaisā hai hañsī barsāt jaisī hai
vo jab bhī baat kartī hai to bāteñ bhiig jaatī haiñ
tumhārī yaad se dil meñ ujālā hone lagtā hai
tumheñ jab gungunātā huuñ to rāteñ bhiig jaatī haiñ
zamīñ kī god bhartī hai to qudrat bhī chahaktī hai
na.e pattoñ kī aahaT se bhī shāḳheñ bhiig jaatī haiñ
tire ehsās kī ḳhushbū hamesha taaza rahtī hai
tirī rahmat kī bārish se murādeñ bhiig jaatī haiñ
tumhaare pas aate hain to sansen bhig jati hain
mohabbat itni milti hai ki aankhen bhig jati hain
tabassum itr jaisa hai hansi barsat jaisi hai
wo jab bhi baat karti hai to baaten bhig jati hain
tumhaari yaad se dil mein ujala hone lagta hai
tumhein jab gungunata hun to raaten bhig jati hain
zamin ki god bharti hai to qudrat bhi chahakti hai
nae patton ki aahaT se bhi shaKHen bhig jati hain
tere ehsas ki KHushbu hamesha taza rahti hai
teri rahmat ki barish se muraden bhig jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.