tumhaare qad se hain qaem qayamaten kya kya
tumhaare qad se hain qaem qayamaten kya kya
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
tumhāre qad se haiñ qaa.em qayāmateñ kyā kyā
uThī haiñ baiThe biThā.e ye āfateñ kyā kyā
laboñ pe jaan kā aanā ye ḳhvāb kā jaanā
ḳhayāl-e-lab meñ haiñ terī halāvateñ kyā kyā
dil apnā tum ko diyā phir rakhe vafā kī umiid
bayāñ apnī karūñ maiñ himāqateñ kyā kyā
zamīñ meñ sharm se us qad kī gaḌ gayā hai sarv
huī haiñ us ko na hāsil nadāmateñ kyā kyā
phirā 'adam se koī ab talak na uktā kar
ḳhudā hī jaane vahāñ haiñ farāġhateñ kyā kyā
tū be-nasīb hai nāseh tujhe kahūñ kyā maiñ
ki rañj-e-ishq meñ hotī haiñ rāhateñ kyā kyā
gale se lagte hī jitne gile the bhuul ga.e
vagarna yaad thiiñ mujh ko shikāyateñ kyā kyā
mujhe hai girya maiñ machlā.e par hañsī aatī
kahe hai sun ke tū jab merī hālateñ kyā kyā
kahe hai mujh ko mirā sho.ala-rū ba-sad tashnī.a
bayān terī karūñ maiñ sharārteñ kyā kyā
kahūñ jo aa to phire mere gird pahroñ talak
jo bolūñ jā to jatā.e naqāhateñ kyā kyā
Darā.e aah se gar aah sun ke maiñ na Darūñ
dikhā.e ashk kī apnī sarāyateñ kyā kyā
jo zulf dekhī to chimTī mujhe balā kī tarah
nasīb apne kī batlā.eñ shāmateñ kyā kyā
jo kholūñ band-e-qabā phir khule hai terī zabāñ
nikāltā hai tū is meñ qabāhateñ kyā kyā
jo surma duuñ huuñ to ik tūtiyā sā bāñdhe hai
kahūñ jo baat banā.e hikāyateñ kyā kyā
marīz-e-'ishq tū ho aur mujh ko rog lage
raheñ haiñ ab kī zamāne meñ chāhateñ kyā kyā
jo zikr kal kā kiyā maiñ ne muñh chhupā ke kahā
tujhe bhī yaad haiñ 'ehsāñ' kināyateñ kyā kyā
tumhaare qad se hain qaem qayamaten kya kya
uThi hain baiThe biThae ye aafaten kya kya
labon pe jaan ka aana ye KHwab ka jaana
KHayal-e-lab mein hain teri halawaten kya kya
dil apna tum ko diya phir rakhe wafa ki umid
bayan apni karun main himaqaten kya kya
zamin mein sharm se us qad ki gaD gaya hai sarw
hui hain us ko na hasil nadamaten kya kya
phira 'adam se koi ab talak na ukta kar
KHuda hi jaane wahan hain faraghaten kya kya
tu be-nasib hai naseh tujhe kahun kya main
ki ranj-e-ishq mein hoti hain rahaten kya kya
gale se lagte hi jitne gile the bhul gae
wagarna yaad thin mujh ko shikayaten kya kya
mujhe hai girya main machlae par hansi aati
kahe hai sun ke tu jab meri haalaten kya kya
kahe hai mujh ko mera shoala-ru ba-sad tashnia
bayan teri karun main shararten kya kya
kahun jo aa to phire mere gird pahron talak
jo bolun ja to jatae naqahaten kya kya
Darae aah se gar aah sun ke main na Darun
dikhae ashk ki apni sarayaten kya kya
jo zulf dekhi to chimTi mujhe bala ki tarah
nasib apne ki batlaen shamaten kya kya
jo kholun band-e-qaba phir khule hai teri zaban
nikalta hai tu is mein qabahaten kya kya
jo surma dun hun to ek tutiya sa bandhe hai
kahun jo baat banae hikayaten kya kya
mariz-e-'ishq tu ho aur mujh ko rog lage
rahen hain ab ki zamane mein chahaten kya kya
jo zikr kal ka kiya main ne munh chhupa ke kaha
tujhe bhi yaad hain 'ehsan' kinayaten kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.