tumhaare sae se ukta gaya hun
tumhāre saa.e se uktā gayā huuñ
maiñ apnī dhuup vāpas chāhtā huuñ
kaho kuchh to zabāñ se baat kyā hai
maiñ kyā phir se akelā ho gayā huuñ
magar ye sab mujhe kahnā nahīñ thā
na jaane kyoñ maiñ ye sab kah rahā huuñ
sabab kuchh bhī nahīñ afsurdagī kā
maiñ bas ḳhush rahte rahte thak gayā huuñ
gila kartā nahīñ ab mausamoñ se
maiñ in peḌoñ ke jaisā ho gayā huuñ
tumhaare sae se ukta gaya hun
main apni dhup wapas chahta hun
kaho kuchh to zaban se baat kya hai
main kya phir se akela ho gaya hun
magar ye sab mujhe kahna nahin tha
na jaane kyon main ye sab kah raha hun
sabab kuchh bhi nahin afsurdagi ka
main bas KHush rahte rahte thak gaya hun
gila karta nahin ab mausamon se
main in peDon ke jaisa ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.