tumhaare sath ye jhuTe faqir rahte hain
tumhāre saath ye jhūTe faqīr rahte haiñ
hamāre saath to munkir-nakīr rahte haiñ
hamārī kam-nazarī se jo ho ga.e mahdūd
unhī mazāroñ meñ raushan zamīr rahte haiñ
rivāyatoñ ke ta.assur kā apnā jaadū hai
kahīñ kahīñ mirī ġhazloñ meñ 'mīr' rahte haiñ
bahut udaas haiñ dīvāreñ ūñche mahloñ kī
ye vo khañDar haiñ ki jin meñ amiir rahte haiñ
har ik fasād zarūrat hai ab siyāsat kī
har ik ghoTāle ke pīchhe vazīr rahte haiñ
tumhaare sath ye jhuTe faqir rahte hain
hamare sath to munkir-nakir rahte hain
hamari kam-nazari se jo ho gae mahdud
unhi mazaron mein raushan zamir rahte hain
riwayaton ke tassur ka apna jadu hai
kahin kahin meri ghazlon mein 'mir' rahte hain
bahut udas hain diwaren unche mahlon ki
ye wo khanDar hain ki jin mein amir rahte hain
har ek fasad zarurat hai ab siyasat ki
har ek ghoTale ke pichhe wazir rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.