tumhaare shahr mein aangan nahin hai
tumhāre shahr meñ āñgan nahīñ hai
kahīñ tulsī nahīñ chandan nahīñ hai
club meñ milte haiñ rādhā kanhayyā
ki jamunā taT nahīñ madhūban nahīñ hai
yahāñ har aur ātish hai dhuāñ hai
kahīñ bhī āj-kal sāvan nahīñ hai
amīrī kā badan sone se piilā
ġharībī ke liye utran nahīñ hai
vo dekheñ kis tarah dil kī siyāhī
ki un ke paas ab darpan nahīñ hai
tumhaare shahr mein aangan nahin hai
kahin tulsi nahin chandan nahin hai
club mein milte hain radha kanhayya
ki jamuna taT nahin madhuban nahin hai
yahan har aur aatish hai dhuan hai
kahin bhi aaj-kal sawan nahin hai
amiri ka badan sone se pila
gharibi ke liye utran nahin hai
wo dekhen kis tarah dil ki siyahi
ki un ke pas ab darpan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.