tumhaari aankhon mein gar nami hai to zindagi hai
tumhārī āñkhoñ meñ gar namī hai to zindagī hai
jo zindagī meñ koī kamī hai to zindagī hai
sukūt taarī jo ho gayā to tamām-shud hai
koī ḳhamoshī jo boltī hai to zindagī hai
koī ḳhayāl aur ḳhvāb na ho to ik ḳhalā hai
ki soch pāgal bhaTak rahī hai to zindagī hai
vo choT jo ki kisī ko ghāyal kiye hue hai
tumhāre dil par agar lagī hai to zindagī hai
tamām hāsil to zinda rahnā nahīñ gavārā
kahīñ zarā sī bhī tishnagī hai to zindagī hai
jo moḌ aage paḌā huā hai vo jā ke dekho
vahāñ na.ī raah gar banī hai to zindagī hai
maiñ roz ḳhud se jhagaḌ ke ḳhud ko manā rahī huuñ
haañ merī mujh se Thanī huī hai to zindagī hai
tumhaari aankhon mein gar nami hai to zindagi hai
jo zindagi mein koi kami hai to zindagi hai
sukut tari jo ho gaya to tamam-shud hai
koi KHamoshi jo bolti hai to zindagi hai
koi KHayal aur KHwab na ho to ek KHala hai
ki soch pagal bhaTak rahi hai to zindagi hai
wo choT jo ki kisi ko ghayal kiye hue hai
tumhaare dil par agar lagi hai to zindagi hai
tamam hasil to zinda rahna nahin gawara
kahin zara si bhi tishnagi hai to zindagi hai
jo moD aage paDa hua hai wo ja ke dekho
wahan nai rah gar bani hai to zindagi hai
main roz KHud se jhagaD ke KHud ko mana rahi hun
han meri mujh se Thani hui hai to zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.