tumhaari chahat ki chandni se har ek shab-e-gham sanwar gai hai
tumhaari chahat ki chandni se har ek shab-e-gham sanwar gai hai
Zia Jalandhari
MORE BYZia Jalandhari
tumhārī chāhat kī chāñdnī se har ik shab-e-ġham sañvar ga.ī hai
sunahrī poroñ se ḳhvāb-reze sameTtī har sahar ga.ī hai
mahakte jhoñke ke harf-e-taskīñ meñ jaanī pahchānī larzisheñ thiiñ
tumhārī sāñsoñ kī aañch kitnī qarīb aa kar guzar ga.ī hai
ab is kā chāra hī kyā ki apnī talab hī lā-intihā thī varna
vo aañkh jab bhī uThī hai dāmān-e-dard phūloñ se bhar ga.ī hai
na thā na hogā kabhī mayassar sukūn jo tere qurb meñ hai
ye vaqt kī jhiil jis meñ har lahr jaise thak kar Thahar ga.ī hai
ye barf-zār-e-ḳhayāl jis meñ na saut-e-gul hai na aks-e-naġhma
tirī tavajjoh se ātish-e-shauq isī ko gulzār kar ga.ī hai
ye kaun dīvāne reg-e-sahrā ko mauja-e-ḳhūñ se sīñchte haiñ
koī kaho is junūñ kī us nau-bahār tak bhī ḳhabar ga.ī hai
'ziyā' diloñ meñ ġhubār kyā kyā the ro.e jī bhar ke jab mile vo
vo abr barsā hai ab ke sāvan ki pattī pattī nikhar ga.ī hai
tumhaari chahat ki chandni se har ek shab-e-gham sanwar gai hai
sunahri poron se KHwab-reze sameTti har sahar gai hai
mahakte jhonke ke harf-e-taskin mein jaani pahchani larzishen thin
tumhaari sanson ki aanch kitni qarib aa kar guzar gai hai
ab is ka chaara hi kya ki apni talab hi la-intiha thi warna
wo aankh jab bhi uThi hai daman-e-dard phulon se bhar gai hai
na tha na hoga kabhi mayassar sukun jo tere qurb mein hai
ye waqt ki jhil jis mein har lahr jaise thak kar Thahar gai hai
ye barf-zar-e-KHayal jis mein na saut-e-gul hai na aks-e-naghma
teri tawajjoh se aatish-e-shauq isi ko gulzar kar gai hai
ye kaun diwane reg-e-sahra ko mauja-e-KHun se sinchte hain
koi kaho is junun ki us nau-bahaar tak bhi KHabar gai hai
'ziya' dilon mein ghubar kya kya the roe ji bhar ke jab mile wo
wo abr barsa hai ab ke sawan ki patti patti nikhar gai hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 207)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.