tumhaari lan-tarani ke karishme dekhe-bhaale hain
tumhārī lan-tarānī ke karishme dekhe-bhāle haiñ
chalo ab sāmne aa jaao ham bhī aañkh vaale haiñ
na kyūñkar rashk-e-dushman se ḳhalish ho ḳhār-e-hasrat kī
ye vo kāñTā hai jis se paañv meñ kyā dil meñ chhāle haiñ
ye sadma jiite jī dil se hamāre jā nahīñ saktā
unheñ vo bhūle baiThe haiñ jo un par marne vaale haiñ
hamārī zindagī se tañg hotā hai abas koī
ġham-e-ulfat salāmat hai to kai din jiine vaale haiñ
'amīr' o 'dāġh' tak ye imtiyāz o farq thā 'ahsan'
kahāñ ab lucknow vaale kahāñ ab dillī vaale haiñ
tumhaari lan-tarani ke karishme dekhe-bhaale hain
chalo ab samne aa jao hum bhi aankh wale hain
na kyunkar rashk-e-dushman se KHalish ho KHar-e-hasrat ki
ye wo kanTa hai jis se panw mein kya dil mein chhaale hain
ye sadma jite ji dil se hamare ja nahin sakta
unhen wo bhule baiThe hain jo un par marne wale hain
hamari zindagi se tang hota hai abas koi
gham-e-ulfat salamat hai to kai din jine wale hain
'amir' o 'dagh' tak ye imtiyaz o farq tha 'ahsan'
kahan ab lucknow wale kahan ab dilli wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.