tumhaari tariKH koi badle use miTae to sar uThao
tumhārī tārīḳh koī badle use miTā.e to sar uThāo
agar sharāfat na kaam aa.e na haq dilā.e to sar uThāo
kahīñ ujālā kahīñ añdherā baġhair sāzish nahīñ hai mumkin
charāġh jab raushnī barābar na baañT paa.e to sar uThāo
kisī ke hisse kī bārisheñ jab kisī kī fasloñ ko lahlahā.eñ
aur us kī sāzish kā shak havā par agar na jaa.e to sar uThāo
agar ho kāñToñ kī qadr-o-qīmat kisī chaman meñ guloñ se baḌh kar
aur us kā maalī dalīl de us ko haq batā.e to sar uThāo
qalam uThāo nazar milāo tum ab lab-e-ehtijāj kholo
muḳhālifat se munāfiqat ko koī bulā.e to sar uThāo
kisī kī bātoñ meñ tum na aao na sar uThāo na sar jhukāv
agar tumhārā zamīr jaage tumheñ jagā.e to sar uThāo
ye kyā ki har vaqt jī-huzūrī meñ sar jhukā.e hue ho ahyā
agar baġhāvat kā par tumhārā bhī phaḌphaḌā.e to sar uThāo
tumhaari tariKH koi badle use miTae to sar uThao
agar sharafat na kaam aae na haq dilae to sar uThao
kahin ujala kahin andhera baghair sazish nahin hai mumkin
charagh jab raushni barabar na banT pae to sar uThao
kisi ke hisse ki barishen jab kisi ki faslon ko lahlahaen
aur us ki sazish ka shak hawa par agar na jae to sar uThao
agar ho kanTon ki qadr-o-qimat kisi chaman mein gulon se baDh kar
aur us ka mali dalil de us ko haq batae to sar uThao
qalam uThao nazar milao tum ab lab-e-ehtijaj kholo
muKHalifat se munafiqat ko koi bulae to sar uThao
kisi ki baaton mein tum na aao na sar uThao na sar jhukaw
agar tumhaara zamir jage tumhein jagae to sar uThao
ye kya ki har waqt ji-huzuri mein sar jhukae hue ho ahya
agar baghawat ka par tumhaara bhi phaDphaDae to sar uThao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.