tumhaari yaad jab dil se mere lipTi ghazal kah di
tumhārī yaad jab dil se mire lipTī ġhazal kah dī
taḌap kar jab kabhī āh-o-fuġhāñ uTThī ġhazal kah dī
shab-e-tanhā.ī kā detī hai jis ko naam ye duniyā
mire siine pe jab aa kar kabhī baiThī ġhazal kah dī
kahā jab giit to phir giit sā mazmūn le aayā
kahīñ jab bhī ġhazal maiñ ne ġhazal jaisī ġhazal kah dī
bikhar kar chāñdnī jab sahn meñ hañsne lagī mujh par
ġhamoñ par ḳhaak Daalī aur maiñ ne bhī ġhazal kah dī
kabhī jab Dagmagā.ī zindagī kī naav tūfāñ meñ
adā-e-mauj par maiñ ne mohabbat kī ġhazal kah dī
ka.ī aañsū mirī palkoñ se TuuTe be-zabānī meñ
magar maiñ ne kabhī jab bhī zabāñ kholī ġhazal kah dī
hazāroñ rañg duniyā ke sameTe sher meñ apne
kabhī jab gulshan-e-dil se uḌī titlī ġhazal kah dī
mujhe bhī be-nishāñ ho kar hī is duniyā se uThnā hai
magar merī anā ne aaj phir koī ġhazal kah dī
bahut ḳhāmosh thā dushman magar bolā to ye bolā
are kyā baat hai nirmal-'nadīm' achchhī ġhazal kah dī
tumhaari yaad jab dil se mere lipTi ghazal kah di
taDap kar jab kabhi aah-o-fughan uTThi ghazal kah di
shab-e-tanhai ka deti hai jis ko nam ye duniya
mere sine pe jab aa kar kabhi baiThi ghazal kah di
kaha jab git to phir git sa mazmun le aaya
kahin jab bhi ghazal main ne ghazal jaisi ghazal kah di
bikhar kar chandni jab sahn mein hansne lagi mujh par
ghamon par KHak Dali aur main ne bhi ghazal kah di
kabhi jab Dagmagai zindagi ki naw tufan mein
ada-e-mauj par main ne mohabbat ki ghazal kah di
kai aansu meri palkon se TuTe be-zabani mein
magar main ne kabhi jab bhi zaban kholi ghazal kah di
hazaron rang duniya ke sameTe sher mein apne
kabhi jab gulshan-e-dil se uDi titli ghazal kah di
mujhe bhi be-nishan ho kar hi is duniya se uThna hai
magar meri ana ne aaj phir koi ghazal kah di
bahut KHamosh tha dushman magar bola to ye bola
are kya baat hai nirmal-'nadim' achchhi ghazal kah di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.