Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad ka ek silsila rahi KHushbu

Ishrat moin Seemaa

tumhaari yaad ka ek silsila rahi KHushbu

Ishrat moin Seemaa

MORE BYIshrat moin Seemaa

    tumhārī yaad ik silsila rahī ḳhushbū

    bahār ban ke mirā rāsta rahī ḳhushbū

    gale lagāyā mujhe maañ ne alvidā.a kahā

    tamām umr mirī rāh-numā rahī ḳhushbū

    ajiib rishta hai bārish kachchī miTTī se

    falak se arz talak rābta rahī ḳhushbū

    hasīñ gulāb bhī ab mo'atabar nahīñ Thahre

    aur us bātoñ se bargashta ho ga.ī ḳhushbū

    kiye haiñ nazr bahut phuul is mohabbat meñ

    dayār-e-ishq meñ tab dil-rubā rahī ḳhushbū

    kisī ne haath milāyā thā 'sīmā' chāhat se

    hatheliyoñ meñ hamārī sadā rahī ḳhushbū

    tumhaari yaad ka ek silsila rahi KHushbu

    bahaar ban ke mera rasta rahi KHushbu

    gale lagaya mujhe man ne alwidaa kaha

    tamam umr meri rah-numa rahi KHushbu

    ajib rishta hai barish ka kachchi miTTi se

    falak se arz talak rabta rahi KHushbu

    hasin gulab bhi ab mo'atabar nahin Thahre

    aur us ki baaton se bargashta ho gai KHushbu

    kiye hain nazr bahut phul is mohabbat mein

    dayar-e-ishq mein tab dil-ruba rahi KHushbu

    kisi ne hath milaya tha 'sima' chahat se

    hatheliyon mein hamari sada rahi KHushbu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now