tumhaari yaad ki talKHi abhi bachi hui hai
tumhaari yaad ki talKHi abhi bachi hui hai
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
tumhārī yaad kī talḳhī abhī bachī huī hai
so ik sharāb kī botal na.ī rakhī huī hai
na āstīn meñ ḳhanjar na lab pe shīrīnī
ye kaise aql ke dushman se dostī huī hai
vo phuul kis ke shabistāñ meñ khil rahā hogā
jo mere kamre meñ ḳhushbū bharī bharī huī hai
abhī se falsafa-e-reg-zār kī bāteñ
abhī to ishq ke maktab meñ hāzirī huī hai
vo ek shaḳhs jo dahlīz tak nahīñ aatā
usī ke naam kī shohrat galī galī huī hai
tumhaari yaad ki talKHi abhi bachi hui hai
so ek sharab ki botal nai rakhi hui hai
na aastin mein KHanjar na lab pe shirini
ye kaise aql ke dushman se dosti hui hai
wo phul kis ke shabistan mein khil raha hoga
jo mere kamre mein KHushbu bhari bhari hui hai
abhi se falsafa-e-reg-zar ki baaten
abhi to ishq ke maktab mein haziri hui hai
wo ek shaKHs jo dahliz tak nahin aata
usi ke nam ki shohrat gali gali hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.