tumhaari yaad mein ye be-KHudi ka aalam hai
tumhārī yaad meñ ye be-ḳhudī kā aalam hai
na zindagī kī ḳhushī hai na maut kā ġham hai
vo ek ashk kā qatra jo hāsil-e-ġham hai
vahī to zaḳhm-e-jigar kā hamāre marham hai
maqām apnā hai is tarah dār-e-fānī meñ
ki jaise dāman-e-gul par sabāt-e-shabnam hai
badal sake na qafas ke masā.ib-o-ālām
hamārī fitrat-e-āzād kitnī mohkam hai
miTā chuke the jo mujh ko misāl-e-harf-e-ġhalat
zabāñ pe un kī merā naam hai ye kyā kam hai
hamāre ishq kā dilkash asar huā raushan
kisī kī aañkh meñ aañsū hai zulf barham he
tumhaari yaad mein ye be-KHudi ka aalam hai
na zindagi ki KHushi hai na maut ka gham hai
wo ek ashk ka qatra jo hasil-e-gham hai
wahi to zaKHm-e-jigar ka hamare marham hai
maqam apna hai is tarah dar-e-fani mein
ki jaise daman-e-gul par sabaat-e-shabnam hai
badal sake na qafas ke masaib-o-alam
hamari fitrat-e-azad kitni mohkam hai
miTa chuke the jo mujh ko misal-e-harf-e-ghalat
zaban pe un ki mera nam hai ye kya kam hai
hamare ishq ka dilkash asar hua raushan
kisi ki aankh mein aansu hai zulf barham he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.