tumhaari yaad mein yun din guzarte hain hum
tumhaari yaad mein yun din guzarte hain hum
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
tumhārī yaad meñ yuuñ din guzārte haiñ ham
ki saañs saañs pe tum ko pukārte haiñ ham
hayāt-e-nau kī ġhazal ko sañvārnā hai hameñ
tabhī to jazba-e-dil ko ubhārte haiñ ham
tumhāre pyaar ke maktūb aaj paḌh paḌh ke
purāne zaḳhmoñ ko phir se nikhārte haiñ ham
guloñ se aaj bhī itnī mohabbateñ haiñ hameñ
ḳhizāñ meñ jā ke chaman ko sañvārte haiñ ham
baḌe ḳhulūs se sunte haiñ giit 'sāqī' ke
har ek lafz ko dil meñ utārte haiñ ham
tumhaari yaad mein yun din guzarte hain hum
ki sans sans pe tum ko pukarte hain hum
hayat-e-nau ki ghazal ko sanwarna hai hamein
tabhi to jazba-e-dil ko ubhaarte hain hum
tumhaare pyar ke maktub aaj paDh paDh ke
purane zaKHmon ko phir se nikhaarte hain hum
gulon se aaj bhi itni mohabbaten hain hamein
KHizan mein ja ke chaman ko sanwarte hain hum
baDe KHulus se sunte hain git 'saqi' ke
har ek lafz ko dil mein utarte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.