tumhaari yaad se dil-bastagi si hoti jati hai
tumhaari yaad se dil-bastagi si hoti jati hai
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat
tumhārī yaad se dil-bastagī sī hotī jaatī hai
hamārī zindagī ab zindagī sī hotī jaatī hai
tumhāre rū-e-anvar ke tasavvur hī ke sadqe meñ
dil-e-ġham-gīñ meñ paidā raushnī sī hotī jaatī hai
dhaḌaktā hai dil-e-mahjūr har-dam yaad meñ us kī
haram ke shauq meñ vāraftagī sī hotī jaatī hai
fazā-e-mast-e-taiba imbisāt-e-dil kā baa.is hai
vahāñ har ik pe taarī sarḳhushī sī hotī jaatī hai
mubārak 'tahniyat' yād-e-madīna meñ ye betābi
isī taqrīb meñ ye shā.irī sī hotī jaatī hai
tumhaari yaad se dil-bastagi si hoti jati hai
hamari zindagi ab zindagi si hoti jati hai
tumhaare ru-e-anwar ke tasawwur hi ke sadqe mein
dil-e-gham-gin mein paida raushni si hoti jati hai
dhaDakta hai dil-e-mahjur har-dam yaad mein us ki
haram ke shauq mein waraftagi si hoti jati hai
faza-e-mast-e-taiba imbisat-e-dil ka bais hai
wahan har ek pe tari sarKHushi si hoti jati hai
mubarak 'tahniyat' yaad-e-madina mein ye betabi
isi taqrib mein ye shairi si hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.