tumhaari zat ka pahle guman koi nahin tha
tumhārī zaat kā pahle gumāñ koī nahīñ thā
hamārā kun se pahle rāz-dāñ koī nahīñ thā
baḌī ḳhush-fahmiyāñ thiiñ saath haiñ ahbāb lekin
jo pīchhe muḌ ke dekhā to vahāñ koī nahīñ thā
Thikāna mil gayā ham ko tumhāre dil meñ āḳhir
ki is se qabl to apnā makāñ koī nahīñ thā
mujhe āvārgī ne jā ke chhoḌā us jagah par
musalsal barf-bārī thī dhuāñ koī nahīñ thā
tumhaari zat ka pahle guman koi nahin tha
hamara kun se pahle raaz-dan koi nahin tha
baDi KHush-fahmiyan thin sath hain ahbab lekin
jo pichhe muD ke dekha to wahan koi nahin tha
Thikana mil gaya hum ko tumhaare dil mein aaKHir
ki is se qabl to apna makan koi nahin tha
mujhe aawargi ne ja ke chhoDa us jagah par
musalsal barf-bari thi dhuan koi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.