tumhaari zindagi mere baghair puri hai
tumhārī zindagī mere baġhair puurī hai
isī liye to mirī har ḳhushī adhūrī hai
maiñ apne 'ishq kī jab intihā pe pahuñchā to
pata chalā ki yahāñ ḳhud-kushī zarūrī hai
yahī tilism na tasḳhīr ho sakā mujh se
hamāre biich jo shams-o-qamar kī duurī hai
har ek baat hamesha vo māntā hai mirī
ye us kā pyaar nahīñ sirf jī-huzūrī hai
maiñ ek fāsla rakkhūñgā saath chalte hue
ye faisla hai magar faisla ubūrī hai
tū kah rahā hai to maiñ ġhaur kar ke dekhtā huuñ
agarche 'ishq mirā tujh se lā-shu'ūrī hai
tumhaari zindagi mere baghair puri hai
isi liye to meri har KHushi adhuri hai
main apne 'ishq ki jab intiha pe pahuncha to
pata chala ki yahan KHud-kushi zaruri hai
yahi tilism na tasKHir ho saka mujh se
hamare bich jo shams-o-qamar ki duri hai
har ek baat hamesha wo manta hai meri
ye us ka pyar nahin sirf ji-huzuri hai
main ek fasla rakkhunga sath chalte hue
ye faisla hai magar faisla uburi hai
tu kah raha hai to main ghaur kar ke dekhta hun
agarche 'ishq mera tujh se la-shu'uri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.