tumhaari zulf ka har tar mohan
tumhārī zulf kā har taar mohan
huā mere gale kā haar mohan
tasavvur kar tirā husn-e-araq-nāk
mirī āñkheñ haiñ gauhar-bār mohan
dam-e-āḳhir talak huuñ kāfir-e-ishq
huā tār-e-nafas zunnār mohan
birah kā jaan kundan hai nipaT saḳht
dikhā is vaqt par dīdār mohan
hamāre mus.haf-e-dil kī qasam khā
kiyā hai zulm kā inkār mohan
gul-e-āriz kuuñ tere yaad kar kar
huā hai dil mirā gulzār mohan
'sirāj' ātish meñ hai tere firāqoñ
bujhā jā mahr siiñ yak baar mohan
tumhaari zulf ka har tar mohan
hua mere gale ka haar mohan
tasawwur kar tera husn-e-araq-nak
meri aankhen hain gauhar-bar mohan
dam-e-aKHir talak hun kafir-e-ishq
hua tar-e-nafas zunnar mohan
birah ka jaan kundan hai nipaT saKHt
dikha is waqt par didar mohan
hamare mushaf-e-dil ki qasam kha
kiya hai zulm ka inkar mohan
gul-e-ariz kun tere yaad kar kar
hua hai dil mera gulzar mohan
'siraj' aatish mein hai tere firaqon
bujha ja mahr sin yak bar mohan
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 493)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.