tumhein ab is se ziyaada saza nahin dunga
tumheñ ab is se ziyāda sazā nahīñ dūñgā
duā.eñ dūñgā magar bad-du'ā nahīñ dūñgā
tirī taraf se laḌūñgā maiñ terī har ik jañg
rahūñgā saath magar hausla nahīñ dūñgā
tirī zabān pe mauqūf mere haath kā lams
nivāla dūñgā magar zā.iqa nahīñ dūñgā
maiñ pahle bose se nā-āshnā rakhūñgā tumheñ
phir is ke baa'd tumheñ dūsrā nahīñ dūñgā
phir ek baar guzar jaao mere uupar se
maiñ is ke baa'd tumheñ rāsta nahīñ dūñgā
ki tū talāsh kare aur maiñ tujh ko mil jā.ūñ
maiñ terī aañkh ko itnī sazā nahīñ dūñgā
bhagā.e rakkhūñgā apnī adālatoñ meñ tumheñ
tamām 'umr tumheñ faisla nahīñ dūñgā
maiñ us ke saath huuñ jo uTh ke phir khaḌā ho jaa.e
maiñ tere shahr ko ab zalzala nahīñ dūñgā
tirī anā ke liye sirf ye sazā hai bahut
tū jā rahā hai to tujh ko sadā nahīñ dūñgā
ki ab kī baar 'liyāqat' huā huā so huā
maiñ us ke haath meñ ab aa.inā nahīñ dūñgā
tumhein ab is se ziyaada saza nahin dunga
duaen dunga magar bad-du'a nahin dunga
teri taraf se laDunga main teri har ek jang
rahunga sath magar hausla nahin dunga
teri zaban pe mauquf mere hath ka lams
niwala dunga magar zaiqa nahin dunga
main pahle bose se na-ashna rakhunga tumhein
phir is ke ba'd tumhein dusra nahin dunga
phir ek bar guzar jao mere upar se
main is ke ba'd tumhein rasta nahin dunga
ki tu talash kare aur main tujh ko mil jaun
main teri aankh ko itni saza nahin dunga
bhagae rakkhunga apni adalaton mein tumhein
tamam 'umr tumhein faisla nahin dunga
main us ke sath hun jo uTh ke phir khaDa ho jae
main tere shahr ko ab zalzala nahin dunga
teri ana ke liye sirf ye saza hai bahut
tu ja raha hai to tujh ko sada nahin dunga
ki ab ki bar 'liyaqat' hua hua so hua
main us ke hath mein ab aaina nahin dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.