tumhein aisa be-rahm jaana na tha
tumheñ aisā be-rahm jaanā na thā
ġharaz kyā kaheñ dil lagānā na thā
agar us galī se nikalte to phir
do aalam meñ apnā Thikānā na thā
liyā imtihān-e-vafā hī meñ jī
hameñ yaañ talak āzmānā na thā
vo thā kaun sā terā tīr-e-sitam
ki maiñ aah us kā nishānā na thā
kiyā kis kī āñkhoñ ne 'rāsiḳh' pe sehr
vo aage to aisā divānā na thā
tumhein aisa be-rahm jaana na tha
gharaz kya kahen dil lagana na tha
agar us gali se nikalte to phir
do aalam mein apna Thikana na tha
liya imtihan-e-wafa hi mein ji
hamein yan talak aazmana na tha
wo tha kaun sa tera tir-e-sitam
ki main aah us ka nishana na tha
kiya kis ki aankhon ne 'rasiKH' pe sehr
wo aage to aisa diwana na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.