tumhein dil-lagi bhul jaani paDegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho
tumhein dil-lagi bhul jaani paDegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho
Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
tumheñ dil-lagī bhuul jaanī paḌegī mohabbat kī rāhoñ meñ aa kar to dekho
taḌapne pe mere na phir tum hañsoge kabhī dil kisī se lagā kar to dekho
vafāoñ kī ham se tavaqqo nahīñ hai magar ek baar aazmā kar to dekho
zamāne ko apnā banā kar to dekhā hameñ bhī tum apnā banā kar to dekho
ḳhudā ke liye chhoḌ do ab ye parda ki haiñ aaj ham tum nahīñ ġhair koī
shab-e-vasl bhī hai hijāb is qadar kyoñ zarā ruḳh se āñchal uThā kar to dekho
jafā.eñ bahut kiiñ bahut zulm Dhaa.e kabhī ik nigāh-e-karam is taraf bhī
hamesha hue dekh kar mujh ko barham kisī din zarā muskurā kar to dekho
jo ulfat meñ har ik sitam hai gavārā ye sab kuchh hai pās-e-vafā tum se varna
satāte ho din-rāt jis tarah mujh ko kisī ġhair ko yuuñ satā kar to dekho
agarche kisī baat par vo ḳhafā haiñ to achchhā yahī hai tum apnī sī kar lo
vo māneñ na māneñ ye marzī hai un kī magar un ko 'purnam' manā kar to dekho
tumhein dil-lagi bhul jaani paDegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho
taDapne pe mere na phir tum hansoge kabhi dil kisi se laga kar to dekho
wafaon ki hum se tawaqqo nahin hai magar ek bar aazma kar to dekho
zamane ko apna bana kar to dekha hamein bhi tum apna bana kar to dekho
KHuda ke liye chhoD do ab ye parda ki hain aaj hum tum nahin ghair koi
shab-e-wasl bhi hai hijab is qadar kyon zara ruKH se aanchal uTha kar to dekho
jafaen bahut kin bahut zulm Dhae kabhi ek nigah-e-karam is taraf bhi
hamesha hue dekh kar mujh ko barham kisi din zara muskura kar to dekho
jo ulfat mein har ek sitam hai gawara ye sab kuchh hai pas-e-wafa tum se warna
satate ho din-raat jis tarah mujh ko kisi ghair ko yun sata kar to dekho
agarche kisi baat par wo KHafa hain to achchha yahi hai tum apni si kar lo
wo manen na manen ye marzi hai un ki magar un ko 'purnam' mana kar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.