tumhein ghamon ka samajhna agar na aaega
tumheñ ġhamoñ kā samajhnā agar na aa.egā
to merī aañkh meñ aañsū nazar na aa.egā
ye zindagī kā musāfir ye be-vafā lamha
chalā gayā to kabhī lauT kar na aa.egā
baneñge ūñche makānoñ meñ baiTh kar naqshe
to apne hisse meñ miTTī kā ghar na aa.egā
manā rahe haiñ bahut din se jashn-e-tishna-labī
hameñ patā thā ye bādal idhar na aa.egā
lagegī aag to samt-e-safar na dekhegī
makān shahr meñ koī nazar na aa.egā
'vasīm' apne añdheroñ kā ḳhud ilaaj karo
koī charāġh jalāne idhar na aa.egā
tumhein ghamon ka samajhna agar na aaega
to meri aankh mein aansu nazar na aaega
ye zindagi ka musafir ye be-wafa lamha
chala gaya to kabhi lauT kar na aaega
banenge unche makanon mein baiTh kar naqshe
to apne hisse mein miTTi ka ghar na aaega
mana rahe hain bahut din se jashn-e-tishna-labi
hamein pata tha ye baadal idhar na aaega
lagegi aag to samt-e-safar na dekhegi
makan shahr mein koi nazar na aaega
'wasim' apne andheron ka KHud ilaj karo
koi charagh jalane idhar na aaega
- Book : Mera Kiya (Pg. 25)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.