tumhein han kisi se mohabbat kahan hai
tumheñ haañ kisī se mohabbat kahāñ hai
zarā dekhiye to vo sūrat kahāñ hai
bhalā ab kisī se suno baat kyā tum
tumheñ apnī bātoñ se fursat kahāñ hai
har ik baat par ro.e se dete ho ab
vo shoḳhī kahāñ vo sharārat kahāñ hai
paḌe rahte ho pahroñ hī muñh lapeTe
vo jalsa kahāñ hai vo sohbat kahāñ hai
koī kuchh kahe ab tumheñ kuchh na bolo
vo tezī kahāñ vo zarāfat kahāñ hai
vo lag chalnā har ik se aafat tumhārā
vo tundī vo shoḳhī vo farhat kahāñ hai
koī jāntā bhī nahīñ ab to tum ko
vo pahlī sī ḳhushbū meñ shohrat kahāñ hai
tumhīñ dekho aur ġhair kī bāteñ sunñā
vo shaan ab kahāñ hai vo shaukat kahāñ hai
tumheñ ho adū hī kā milnā mubārak
adū kī sī ham meñ liyāqat kahāñ hai
'nizām' aap hī aap aa.egā yaañ par
yahāñ rashk sahne kī tāqat kahāñ hai
tumhein han kisi se mohabbat kahan hai
zara dekhiye to wo surat kahan hai
bhala ab kisi se suno baat kya tum
tumhein apni baaton se fursat kahan hai
har ek baat par roe se dete ho ab
wo shoKHi kahan wo shararat kahan hai
paDe rahte ho pahron hi munh lapeTe
wo jalsa kahan hai wo sohbat kahan hai
koi kuchh kahe ab tumhein kuchh na bolo
wo tezi kahan wo zarafat kahan hai
wo lag chalna har ek se aafat tumhaara
wo tundi wo shoKHi wo farhat kahan hai
koi jaanta bhi nahin ab to tum ko
wo pahli si KHushbu mein shohrat kahan hai
tumhin dekho aur ghair ki baaten sunna
wo shan ab kahan hai wo shaukat kahan hai
tumhein ho adu hi ka milna mubarak
adu ki si hum mein liyaqat kahan hai
'nizam' aap hi aap aaega yan par
yahan rashk sahne ki taqat kahan hai
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 330)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.