Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae

Qabil Ajmeri

tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae

Qabil Ajmeri

MORE BYQabil Ajmeri

    tumheñ jo mere ġham-e-dil se āgahī ho jaa.e

    jigar meñ phuul khileñ aañkh shabnamī ho jaa.e

    ajal bhī us bulandī ko chhū nahīñ saktī

    vo zindagī jise ehsās-e-zindagī ho jaa.e

    yahī hai dil halākat yahī hai ishq maut

    nigāh-e-dost pe iz.hār-e-bekasī ho jaa.e

    zamāna dost hai kis kis ko yaad rakkhoge

    ḳhudā kare ki tumheñ mujh se dushmanī ho jaa.e

    siyāh-ḳhāna-e-dil meñ hai zulmatoñ hujūm

    charāġh-e-shauq jalāo ki raushnī ho jaa.e

    tulū-e-sub.h pe hotī hai aur bhī namnāk

    vo aañkh jis sitāroñ se dostī ho jaa.e

    ajal god meñ 'qābil' huī hai umr tamām

    ajab nahīñ jo mirī maut zindagī ho jaa.e

    tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae

    jigar mein phul khilen aankh shabnami ho jae

    ajal bhi us ki bulandi ko chhu nahin sakti

    wo zindagi jise ehsas-e-zindagi ho jae

    yahi hai dil ki halakat yahi hai ishq ki maut

    nigah-e-dost pe izhaar-e-bekasi ho jae

    zamana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge

    KHuda kare ki tumhein mujh se dushmani ho jae

    siyah-KHana-e-dil mein hai zulmaton ka hujum

    charagh-e-shauq jalao ki raushni ho jae

    tulu-e-subh pe hoti hai aur bhi namnak

    wo aankh jis ki sitaron se dosti ho jae

    ajal ki god mein 'qabil' hui hai umr tamam

    ajab nahin jo meri maut zindagi ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now