tumhein ro kar batana chahte hain
tumheñ ro kar batānā chāhte haiñ
ki ham bhī muskurānā chāhte haiñ
misāl-e-tifl haiñ ahl-e-siyāsat
ye har ik chiiz khānā chāhte haiñ
sadā kaafī nahīñ hai kochvāñ kī
ye ghoḌe tāziyāna chāhte haiñ
ye tīnoñ vaqt apne paas rakkho
ki ham chauthā zamāna chāhte haiñ
hamīñ vo āḳhirī dīvār-e-girya
jise saare girānā chāhte haiñ
koī 'sānī' kahe us bad-gumāñ se
use ham vālihāna chāhte haiñ
tumhein ro kar batana chahte hain
ki hum bhi muskurana chahte hain
misal-e-tifl hain ahl-e-siyasat
ye har ek chiz khana chahte hain
sada kafi nahin hai kochwan ki
ye ghoDe taziyana chahte hain
ye tinon waqt apne pas rakkho
ki hum chautha zamana chahte hain
hamin wo aaKHiri diwar-e-girya
jise sare girana chahte hain
koi 'sani' kahe us bad-guman se
use hum walihana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.