tumhein tum se churane aa gae hain
tumheñ tum se churāne aa ga.e haiñ
mohabbat ko baḌhāne aa ga.e haiñ
hañsī ko qaid se āzād kar do
ye dekho muskurāne aa ga.e haiñ
abhī to ham se milne tum chale aao
ki ab mausam suhāne aa ga.e haiñ
ġhazal likkhī hai yādoñ meñ tumhārī
vahī shab bhar sunāne aa ga.e haiñ
gile-shikve bahut the darmiyāñ to
ki ab saare miTāne aa ga.e haiñ
ġhamoñ kā bojh hai sar par tumhāre
abad tak ham uThāne aa ga.e haiñ
ka.ī alfāz siine meñ dabe the
sabhī tum ko batāne aa ga.e haiñ
mohabbat ke taqāze dushmanoñ meñ
ye 'shīrīñ' ham nibhāne aa ga.e haiñ
tumhein tum se churane aa gae hain
mohabbat ko baDhane aa gae hain
hansi ko qaid se aazad kar do
ye dekho muskurane aa gae hain
abhi to hum se milne tum chale aao
ki ab mausam suhane aa gae hain
ghazal likkhi hai yaadon mein tumhaari
wahi shab bhar sunane aa gae hain
gile-shikwe bahut the darmiyan to
ki ab sare miTane aa gae hain
ghamon ka bojh hai sar par tumhaare
abad tak hum uThane aa gae hain
kai alfaz sine mein dabe the
sabhi tum ko batane aa gae hain
mohabbat ke taqaze dushmanon mein
ye 'shirin' hum nibhane aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.