tumhi batao sawal-o-jawab kya karte
tumhī batāo savāl-o-javāb kyā karte
vo dost thā to phir us se hisāb kyā karte
yahī ḳhayāl hameñ mai-kade se le aaya
hayāt-e-fānī ko nazr-e-sharāb kyā karte
qadam-qadam pe yahāñ laġhzishoñ ke saa.e haiñ
nafas-nafas pe bhalā ehtisāb kyā karte
vafā ke naam pe maiñ ne to jaan dī lekin
mirī jagah agar hote janāb kyā karte
kitābī chehra jo dekhā to baḌh ke chuum liyā
adab ke naam pe ahl-e-kitāb kyā karte
tumhi batao sawal-o-jawab kya karte
wo dost tha to phir us se hisab kya karte
yahi KHayal hamein mai-kade se le aaya
hayat-e-fani ko nazr-e-sharab kya karte
qadam-qadam pe yahan laghzishon ke sae hain
nafas-nafas pe bhala ehtisab kya karte
wafa ke nam pe main ne to jaan di lekin
meri jagah agar hote janab kya karte
kitabi chehra jo dekha to baDh ke chum liya
adab ke nam pe ahl-e-kitab kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.