tund-KHui pe tanz kar jaun
tund-ḳhūī pe tanz kar jā.ūñ
ban ke ḳhushbū havā ke ghar jā.ūñ
dushman-e-jāñ nafas nafas merā
dhuul kā phuul huuñ kidhar jā.ūñ
tū bhulā.e to kyā bhulā.e mujhe
nashsha huuñ kis tarah utar jā.ūñ
ḳhud ulajhtā huuñ ḳhud sulajhtā huuñ
kuchh nikhar jā.ūñ kuchh sañvar jā.ūñ
jism aur ishq ke havāle se
maiñ tirī ruuh meñ utar jā.ūñ
but ko dekhā to but huā 'ḳhālid'
jī meñ thā dekh kar guzar jā.ūñ
tund-KHui pe tanz kar jaun
ban ke KHushbu hawa ke ghar jaun
dushman-e-jaan nafas nafas mera
dhul ka phul hun kidhar jaun
tu bhulae to kya bhulae mujhe
nashsha hun kis tarah utar jaun
KHud ulajhta hun KHud sulajhta hun
kuchh nikhar jaun kuchh sanwar jaun
jism aur ishq ke hawale se
main teri ruh mein utar jaun
but ko dekha to but hua 'KHalid'
ji mein tha dekh kar guzar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.