tund maujon ka kinara hona
tund maujoñ kā kināra honā
kitnā mushkil hai tumhārā honā
terī yādoñ kā bhī aanā kam-kam
tang-dastī meñ guzārā honā
rā.egānī meñ jiye haiñ ham log
jis tarah sub.h kā taarā honā
terī mahfil meñ haiñ maujūd magar
kaun dekhegā hamārā honā
kaash hoñ harf-e-mukarrar vo log
kaash mumkin ho dobāra honā
tund maujon ka kinara hona
kitna mushkil hai tumhaara hona
teri yaadon ka bhi aana kam-kam
tang-dasti mein guzara hona
raegani mein jiye hain hum log
jis tarah subh ka tara hona
teri mahfil mein hain maujud magar
kaun dekhega hamara hona
kash hon harf-e-mukarrar wo log
kash mumkin ho dobara hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.