tu aankh ke raste se mere dil mein utar ja
tū aañkh ke raste se mire dil meñ utar jā
tū ashk-e-vafā ban ke in āñkhoñ meñ Thahar jā
murjhā.e hue phūloñ ko ik rañg nayā de
ulfat kī adā ban ke tū raste se guzar jā
tū merī ḳhizāñ-shab ke añdheroñ ko kiran de
ḳhushbū kī tarah dil meñ har ik samt bikhar jā
ḳhāmosh haiñ alfāz mire un ko zabāñ de
is zulf se kah de kisī lamhe to sañvar jā
kuchh aur nahīñ dil meñ tamannā magar ai jaañ
tū pahle hī ik phuul hai ab aur nikhar jā
tu aankh ke raste se mere dil mein utar ja
tu ashk-e-wafa ban ke in aankhon mein Thahar ja
murjhae hue phulon ko ek rang naya de
ulfat ki ada ban ke tu raste se guzar ja
tu meri KHizan-shab ke andheron ko kiran de
KHushbu ki tarah dil mein har ek samt bikhar ja
KHamosh hain alfaz mere un ko zaban de
is zulf se kah de kisi lamhe to sanwar ja
kuchh aur nahin dil mein tamanna magar ai jaan
tu pahle hi ek phul hai ab aur nikhar ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.