tu agar ba-usul ho jae
tū agar bā-usūl ho jaa.e
rahmatoñ kā nuzūl ho jaa.e
pyaar itnā karo ki patthar bhī
aise pighle ki phuul ho jaa.e
un se milne meñ Dar ye lagtā hai
koī ham se na bhuul ho jaa.e
aa.ina aa.ina hī rahtā hai
chāhe jitnī bhī dhuul ho jaa.e
ġham na ho zindagī agar tujh meñ
terā honā fuzūl ho jaa.e
dil se tauba kare agar 'sāhil'
terī tauba qubūl ho jaa.e
tu agar ba-usul ho jae
rahmaton ka nuzul ho jae
pyar itna karo ki patthar bhi
aise pighle ki phul ho jae
un se milne mein Dar ye lagta hai
koi hum se na bhul ho jae
aaina aaina hi rahta hai
chahe jitni bhi dhul ho jae
gham na ho zindagi agar tujh mein
tera hona fuzul ho jae
dil se tauba kare agar 'sahil'
teri tauba qubul ho jae
- Book : Kirdaar (Pg. 52)
- Author : Mohammed Ali Sahil
- Publication : Voice Publication (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.