tu agar be-naqab ho jata
tū agar be-naqāb ho jaatā
to har ik faizyāb ho jaatā
taare sab māhtāb ho jaate
māhtāb āftāb ho jaatā
likhte dīvān meñ jo vasf-e-ruḳh
har varaq āftāb ho jaatā
tū batātā jo rāh-e-mai-ḳhāna
shaiḳh kār-e-savāb ho jaatā
imtihāñ lete haiñ vo maqtal meñ
pahle maiñ intiḳhāb ho jaatā
thī havā-e-ḳhudī bharī is meñ
kyuuñ na be-ḳhud habāb ho jaatā
jaag uThte nasīb āshiq ke
yaar agar mast-e-ḳhvāb ho jaatā
chain se sote farsh-e-rāhat par
jo ḳhayāl un kā ḳhvāb ho jaatā
shab-e-va.ada agar na aate aap
ḳhvāb bhī mujh ko ḳhvāb
kaash ai dard-e-ishq tere liye
dil mirā intiḳhāb ho jaatā
yārab us but ko shoḳhiyāñ ātīñ
duur us se hijāb ho jaatā
chaal chalte jo tum qayāmat kī
fitna hī ham-rikāb ho jaatā
apnā nāḳhun tarāshtā vo ḳhud
mah-e-nau kā javāb ho jaatā
jañg hotī adū se ai 'sābir'
aur maiñ fat.h-yāb ho jaatā
tu agar be-naqab ho jata
to har ek faizyab ho jata
tare sab mahtab ho jate
mahtab aaftab ho jata
likhte diwan mein jo wasf-e-ruKH
har waraq aaftab ho jata
tu batata jo rah-e-mai-KHana
shaiKH kar-e-sawab ho jata
imtihan lete hain wo maqtal mein
pahle main intiKHab ho jata
thi hawa-e-KHudi bhari is mein
kyun na be-KHud habab ho jata
jag uThte nasib aashiq ke
yar agar mast-e-KHwab ho jata
chain se sote farsh-e-rahat par
jo KHayal un ka KHwab ho jata
shab-e-wada agar na aate aap
KHwab bhi mujh ko KHwab
kash ai dard-e-ishq tere liye
dil mera intiKHab ho jata
yarab us but ko shoKHiyan aatin
dur us se hijab ho jata
chaal chalte jo tum qayamat ki
fitna hi ham-rikab ho jata
apna naKHun tarashta wo KHud
mah-e-nau ka jawab ho jata
jang hoti adu se ai 'sabir'
aur main fath-yab ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.