tu apne aap mein mujhko rasa basa rakhna
tū apne aap meñ mujh ko rasā basā rakhnā
phir apne sāmne kamre meñ aa.ina rakhnā
ḳhudā shu.ūr de jiine kā azm-o-himmat se
hamāre vāste hoñToñ pe ye duā rakhnā
ham apne daur ke sūraj haiñ ḳhud chamakte haiñ
hamāre ghar se añdhero na vāsta rakhnā
hamāre baad kī nasleñ zarūr māñgeñgī
hamārī ḳhaak bachā kar zarā havā rakhnā
'jamīl' laakh burā hai magar tumhārā hai
tum us kī laaj sar-e-hashr mustafā rakhnā
tu apne aap mein mujh ko rasa basa rakhna
phir apne samne kamre mein aaina rakhna
KHuda shuur de jine ka azm-o-himmat se
hamare waste honTon pe ye dua rakhna
hum apne daur ke suraj hain KHud chamakte hain
hamare ghar se andhero na wasta rakhna
hamare baad ki naslen zarur mangengi
hamari KHak bacha kar zara hawa rakhna
'jamil' lakh bura hai magar tumhaara hai
tum us ki laj sar-e-hashr mustafa rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.