tu apne jaisa achhuta KHayal de mujhko
tū apne jaisā achhūtā ḳhayāl de mujh ko
maiñ terā aks huuñ apnā jamāl de mujh ko
maiñ TuuT jā.ūñgī lekin na jhuk sakūñgī kabhī
majāl hai kisī paikar meñ Dhaal de mujh ko
maiñ apne dil se miTā.ūñgī terī yaad magar
tū apne zehan se pahle nikāl de mujh ko
maiñ sañg-e-koh kī mānind huuñ na bikhrūñgī
na ho yaqīñ jo tujhe to uchhāl de mujh ko
ḳhushī ḳhushī baḌhūñ kho jā.ūñ terī hastī meñ
anā ke ḳhauf se 'sānī' nikāl de mujh ko
tu apne jaisa achhuta KHayal de mujh ko
main tera aks hun apna jamal de mujh ko
main TuT jaungi lekin na jhuk sakungi kabhi
majal hai kisi paikar mein Dhaal de mujh ko
main apne dil se miTaungi teri yaad magar
tu apne zehan se pahle nikal de mujh ko
main sang-e-koh ki manind hun na bikhrungi
na ho yaqin jo tujhe to uchhaal de mujh ko
KHushi KHushi baDhun kho jaun teri hasti mein
ana ke KHauf se 'sani' nikal de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.