tu apne phul se honTon ko raegan mat kar
tū apne phuul se hoñToñ ko rā.egāñ mat kar
agar vafā kā irāda nahīñ to haañ mat kar
tū merī shaam kī palkoñ se raushnī mat chhīn
jahāñ charāġh jalā.e vahāñ dhuāñ mat kar
phir is ke ba.ad to āñkhoñ ko sañg honā hai
milī hai fursat-e-girya to rā.egāñ mat kar
chhalak rahā hai tire dil kā dard chehre se
chhupā chhupā ke mohabbat ko dāstāñ mat kar
tū jaate jaate na de mujh ko zindagī kī duā
maiñ jī sakūñgā tire ba.ad ye gumāñ mat kar
tu apne phul se honTon ko raegan mat kar
agar wafa ka irada nahin to han mat kar
tu meri sham ki palkon se raushni mat chhin
jahan charagh jalae wahan dhuan mat kar
phir is ke baad to aankhon ko sang hona hai
mili hai fursat-e-girya to raegan mat kar
chhalak raha hai tere dil ka dard chehre se
chhupa chhupa ke mohabbat ko dastan mat kar
tu jate jate na de mujh ko zindagi ki dua
main ji sakunga tere baad ye guman mat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.