tu be-naqab hai ai mah ye hain sharab ke din
tu be-naqab hai ai mah ye hain sharab ke din
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
tū be-naqāb hai ai mah ye haiñ sharāb ke din
ki māhtāb kī rāteñ haiñ āftāb ke din
javān tū bhī hai apne bhī haiñ shabāb ke din
bilā hisāb de bose nahīñ hisāb ke din
huā safed tirī intizār meñ āḳhir
ajab tarah se phire dīda-e-pur-āb ke din
tire laboñ se hai rū-kash ajab tarah ke haiñ mast
lage haiñ din use kyūñ-kar phireñ sharāb ke din
qarār ye thā ki itvār ke din ā.ūñgā
kahā thā maiñ ne ga.e mere iztirāb ke din
huā do-chand alam aah roz-e-yak-shamba
vo āftāb mirā aayā āftāb ke din
vo zulf mujh pe hai be-vaj.h rāt-din barham
kisī tarah se na baḌhtī nahīñ itaab ke din
jigar se sho.ale nikalte haiñ chashm se aañsū
is āb-o-tāb se kaTte pech-o-tāb ke din
na jaao shaiḳh jī aao qarīb hai holī
ḳhafā na ho ki chale aate haiñ ḳhitāb ke din
pilā.ī mai ramazāñ meñ na mujh ko ai saaqī
baḌe azaab se kaTte haiñ ye savāb ke din
azāb-e-hijr bhī dozaḳh se kam nahīñ 'ehsāñ'
ilāhī mujh ko na dikhlā.īyo azaab ke din
tu be-naqab hai ai mah ye hain sharab ke din
ki mahtab ki raaten hain aaftab ke din
jawan tu bhi hai apne bhi hain shabab ke din
bila hisab de bose nahin hisab ke din
hua safed teri intizar mein aaKHir
ajab tarah se phire dida-e-pur-ab ke din
tere labon se hai ru-kash ajab tarah ke hain mast
lage hain din use kyun-kar phiren sharab ke din
qarar ye tha ki itwar ke din aaunga
kaha tha main ne gae mere iztirab ke din
hua do-chand alam aah roz-e-yak-shamba
wo aaftab mera aaya aaftab ke din
wo zulf mujh pe hai be-wajh raat-din barham
kisi tarah se na baDhti nahin itab ke din
jigar se shoale nikalte hain chashm se aansu
is aab-o-tab se kaTte pech-o-tab ke din
na jao shaiKH ji aao qarib hai holi
KHafa na ho ki chale aate hain KHitab ke din
pilai mai ramazan mein na mujh ko ai saqi
baDe azab se kaTte hain ye sawab ke din
azab-e-hijr bhi dozaKH se kam nahin 'ehsan'
ilahi mujh ko na dikhlaiyo azab ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.