Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bewafa hai tera etibar kaun kare

Zaigham Hameedi

tu bewafa hai tera etibar kaun kare

Zaigham Hameedi

MORE BYZaigham Hameedi

    bevafā hai tirā e'tibār kaun kare

    tamām umr tirā intizār kaun kare

    bahut dinoñ se maiñ ḳhush-fahmī-e-visāl meñ huuñ

    jo nahīñ to mujhe be-qarār kaun kare

    sunā.eñ haal bhī dil agar sune koī

    sune na jab koī chīḳh-o-pukār kaun kare

    vo aa.e ki na aa.e ye us hai marzī

    shumār-e-gardish-e-lail-o-nahār kaun kare

    jo maiñ bhī sab tarah bas tire qasīde likhūñ

    ilāj-e-barhami-e-rozgār kaun kare

    agar nasīb meñ 'zaiġham' ḳhizāñ likkhī ho

    to phir jahāñ meñ talāsh-e-bahār kaun kare

    tu bewafa hai tera e'tibar kaun kare

    tamam umr tera intizar kaun kare

    bahut dinon se main KHush-fahmi-e-visal mein hun

    jo tu nahin to mujhe be-qarar kaun kare

    sunaen haal bhi dil ka agar sune koi

    sune na jab koi chiKH-o-pukar kaun kare

    wo aae ya ki na aae ye us ki hai marzi

    shumar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kaun kare

    jo main bhi sab ki tarah bas tere qaside likhun

    ilaj-e-barhami-e-rozgar kaun kare

    agar nasib mein 'zaigham' KHizan hi likkhi ho

    to phir jahan mein talash-e-bahaar kaun kare

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 143)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now