tu chahiye na teri wafa chahiye mujhe
tū chāhiye na terī vafā chāhiye mujhe
kuchh bhī na tere ġham ke sivā chāhiye mujhe
marne se pahle shakl hī ik baar dekh luuñ
ai maut zindagī kā patā chāhiye mujhe
yā rab muaaf kar ke na de karb-e-infi.āl
maiñ ne ḳhatā.eñ kī haiñ sazā chāhiye mujhe
ḳhāmoshi-e-hayāt se uktā gayā huuñ maiñ
ab chāhe dil hī TuuTe sadā chāhiye mujhe
un mast mast āñkhoñ meñ aañsū are ġhazab
ye ishq hai to qahr-e-ḳhudā chāhiye mujhe
nāseh nasīhatoñ kā zamāna guzar gayā
ab pyāre sirf terī duā chāhiye mujhe
har dard ko davā kī zarūrat hai ai 'ḳhumār'
jo dard ḳhud ho apnī davā chāhiye mujhe
tu chahiye na teri wafa chahiye mujhe
kuchh bhi na tere gham ke siwa chahiye mujhe
marne se pahle shakl hi ek bar dekh lun
ai maut zindagi ka pata chahiye mujhe
ya rab muaf kar ke na de karb-e-infial
main ne KHataen ki hain saza chahiye mujhe
KHamoshi-e-hayat se ukta gaya hun main
ab chahe dil hi TuTe sada chahiye mujhe
un mast mast aankhon mein aansu are ghazab
ye ishq hai to qahr-e-KHuda chahiye mujhe
naseh nasihaton ka zamana guzar gaya
ab pyare sirf teri dua chahiye mujhe
har dard ko dawa ki zarurat hai ai 'KHumar'
jo dard KHud ho apni dawa chahiye mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.