Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu farishta na hua to na pasheman hona

Navin Joshi

tu farishta na hua to na pasheman hona

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    farishta na huā to na pashemāñ honā

    hai baḌī shai yahāñ insāñ bhī insāñ honā

    maanā mushkil hai magar ab ye hunar sīkheñge

    kyā ḳhabar thī ki paḌegā hameñ āsāñ honā

    kyā zarūrī hai taqābul kisī shīshe se

    zaat meñ ho na agar aks pe nāzāñ honā

    tañg-jānī hai yuuñ bhī ḳhāl-o-ḳhad-o-paikar meñ

    dam nahīñ ghoT de ehsās-e-farāvāñ honā

    khel pardoñ hai saarā sar-e-mimbar us

    vo ayaañ honā kabhī aur kabhī pinhāñ honā

    ham ujāloñ ke jale haiñ so añdheroñ meñ hai

    raas aa.egā nahīñ ham ko charāġhāñ honā

    zulm hai bāñdhnā ham ko yuuñ had-e-imkāñ meñ

    aur ḳhud is ba.īd-e-had-e-imkāñ honā

    tu farishta na hua to na pasheman hona

    hai baDi shai yahan insan ka bhi insan hona

    mana mushkil hai magar ab ye hunar sikhenge

    kya KHabar thi ki paDega hamein aasan hona

    kya zaruri hai taqabul kisi ka shishe se

    zat mein ho na agar aks pe nazan hona

    tang-jaani hai yun bhi KHal-o-KHad-o-paikar mein

    dam nahin ghoT de ehsas-e-farawan hona

    khel pardon ka hai sara sar-e-mimbar us ka

    wo ayan hona kabhi aur kabhi pinhan hona

    hum ujalon ke jale hain so andheron mein hai

    ras aaega nahin hum ko charaghan hona

    zulm hai bandhna hum ko yun had-e-imkan mein

    aur KHud is ka baid-e-had-e-imkan hona

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now