tu hai gar mujhse KHafa KHud se KHafa hun main bhi
tū hai gar mujh se ḳhafā ḳhud se ḳhafā huuñ maiñ bhī
mujh ko pahchān ki terī hī adā huuñ maiñ bhī
ek tujh se hī nahīñ fasl-e-tamannā shādāb
vahī mausam huuñ vahī āb-o-havā huuñ maiñ bhī
sabt huuñ dast-e-ḳhamoshī pe hinā kī sūrat
nā-shunīda hī sahī terā kahā huuñ maiñ bhī
chāñd ban kar tire āñgan meñ utar hī jā.ūñ
raat ke pichhle pahar maañg duā huuñ maiñ bhī
yuuñ na murjhā ki mujhe ḳhud pe bharosa na rahe
pichhle mausam meñ tire saath khilā huuñ maiñ bhī
jaane kis raah chalūñ kaun se ruḳh muḌ jā.ūñ
mujh se mat mil ki zamāne kī havā huuñ maiñ bhī
tu hai gar mujh se KHafa KHud se KHafa hun main bhi
mujh ko pahchan ki teri hi ada hun main bhi
ek tujh se hi nahin fasl-e-tamanna shadab
wahi mausam hun wahi aab-o-hawa hun main bhi
sabt hun dast-e-KHamoshi pe hina ki surat
na-shunida hi sahi tera kaha hun main bhi
chand ban kar tere aangan mein utar hi jaun
raat ke pichhle pahar mang dua hun main bhi
yun na murjha ki mujhe KHud pe bharosa na rahe
pichhle mausam mein tere sath khila hun main bhi
jaane kis rah chalun kaun se ruKH muD jaun
mujh se mat mil ki zamane ki hawa hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.