tu hai waisa hi hu-ba-hu yara
tū hai vaisā hī hū-ba-hū yaarā
ḳhvāb meñ thā jo rū-ba-rū yaarā
dūsrā tū hai jis ne samjhī hai
merī be-rabt guftugū yaarā
tujh ko sochūñ to phuul khilte haiñ
dil kī nagrī meñ kū-ba-kū yaarā
itne logoñ meñ bhī akele haiñ
ek maiñ aur ek tū yaarā
bas ye azm-e-safar javāñ rakhnā
dhuñd chhaTnī to hai kabhū yaarā
āj-kal ratjage manātī hai
tere ḳhvāboñ kī aarzū yaarā
ek sahrā hai pyaas kā 'anvar'
tū mohabbat kī aabjū yaarā
tu hai waisa hi hu-ba-hu yara
KHwab mein tha jo ru-ba-ru yara
dusra tu hai jis ne samjhi hai
meri be-rabt guftugu yara
tujh ko sochun to phul khilte hain
dil ki nagri mein ku-ba-ku yara
itne logon mein bhi akele hain
ek main aur ek tu yara
bas ye azm-e-safar jawan rakhna
dhund chhaTni to hai kabhu yara
aaj-kal ratjage manati hai
tere KHwabon ki aarzu yara
ek sahra hai pyas ka 'anwar'
tu mohabbat ki aabju yara
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.