tu hai ya tera saya hai
tū hai yā terā saayā hai
bhes judā.ī ne badlā hai
dil kī havelī par muddat se
ḳhāmoshī kā qufl paḌā hai
chīḳh rahe haiñ ḳhālī kamre
shaam se kitnī tez havā hai
darvāze sar phoḌ rahe haiñ
kaun is ghar ko chhoḌ gayā hai
tanhā.ī ko kaise chhoḌūñ
barsoñ meñ ik yaar milā hai
raat añdherī naav na sāthī
raste meñ dariyā paḌtā hai
hichkī thamtī hī nahīñ 'nāsir'
aaj kisī ne yaad kiyā hai
tu hai ya tera saya hai
bhes judai ne badla hai
dil ki haweli par muddat se
KHamoshi ka qufl paDa hai
chiKH rahe hain KHali kamre
sham se kitni tez hawa hai
darwaze sar phoD rahe hain
kaun is ghar ko chhoD gaya hai
tanhai ko kaise chhoDun
barson mein ek yar mila hai
raat andheri naw na sathi
raste mein dariya paDta hai
hichki thamti hi nahin 'nasir'
aaj kisi ne yaad kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.