tu hamare dar se jab bhi dar-ba-dar ho jaegi
tū hamāre dar se jab bhī dar-ba-dar ho jā.egī
saarī duniyā ko tire ġham kī ḳhabar ho jā.egī
entry jab bhī mirī hogī tumhārī film meñ
be-asar jo hai kahānī bā-asar ho jā.egī
jis kī ḳhātir ghar banāne meñ lage ho raat din
ek din ye zindagī bhī dar-ba-dar ho jā.egī
aaj tum se mil rahā huuñ muddatoñ ke ba.ad maiñ
dekhnā ye raat kitnī muḳhtasar ho jā.egī
dekhnā us pal bahut dhīre se aa jā.egī maut
ye hamārī zindagī jab mo'atabar ho jā.egī
i love you muskurā kar kahne bhar kī der hai
muddatoñ kī ik kahānī muḳhtasar ho jā.egī
tu hamare dar se jab bhi dar-ba-dar ho jaegi
sari duniya ko tere gham ki KHabar ho jaegi
entry jab bhi meri hogi tumhaari film mein
be-asar jo hai kahani ba-asar ho jaegi
jis ki KHatir ghar banane mein lage ho raat din
ek din ye zindagi bhi dar-ba-dar ho jaegi
aaj tum se mil raha hun muddaton ke baad main
dekhna ye raat kitni muKHtasar ho jaegi
dekhna us pal bahut dhire se aa jaegi maut
ye hamari zindagi jab mo'atabar ho jaegi
i lowe you muskura kar kahne bhar ki der hai
muddaton ki ek kahani muKHtasar ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.