tu jala wo bhi ghalat tha main jala ye bhi ghalat
tū jalā vo bhī ġhalat thā maiñ jalā ye bhī ġhalat
hausla vo bhī ġhalat thā hausla ye bhī ġhalat
us ne mandir toḌ Daalā tū ne masjid toḌ dī
zalzala vo bhī ġhalat thā zalzala ye bhī ġhalat
baañT kar jismoñ ko ab vo bāñTne nikle haiñ dil
faisla vo bhī ġhalat thā faisla ye bhī ġhalat
is siyāsat ne hameñ hindū musalmāñ maan kar
tab chhalā vo bhī ġhalat thā ab chhalā ye bhī ġhalat
us ne merī jaan baḳhshī maiñ ne us kī zindagī
kyā bhalā vo bhī ġhalat thā kyā bhalā ye bhī ġhalat
pahle maz.hab phir siyāsat ne baḌhāyā jo yahāñ
fāsla vo bhī ġhalat thā fāsla ye bhī ġhalat
pyaar ke un rāstoñ ko chhoḌ kar ai 'urmilesh'
tū chalā vo bhī ġhalat thā maiñ chalā ye bhī ġhalat
tu jala wo bhi ghalat tha main jala ye bhi ghalat
hausla wo bhi ghalat tha hausla ye bhi ghalat
us ne mandir toD Dala tu ne masjid toD di
zalzala wo bhi ghalat tha zalzala ye bhi ghalat
banT kar jismon ko ab wo banTne nikle hain dil
faisla wo bhi ghalat tha faisla ye bhi ghalat
is siyasat ne hamein hindu musalman man kar
tab chhala wo bhi ghalat tha ab chhala ye bhi ghalat
us ne meri jaan baKHshi main ne us ki zindagi
kya bhala wo bhi ghalat tha kya bhala ye bhi ghalat
pahle mazhab phir siyasat ne baDhaya jo yahan
fasla wo bhi ghalat tha fasla ye bhi ghalat
pyar ke un raston ko chhoD kar ai 'urmilesh'
tu chala wo bhi ghalat tha main chala ye bhi ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.